Nauha "Husain Padhte Hain Ro Ro Ke Marsiya Ran Mein" by Anjuman-e-Husainia Qadeem at Imambara Deputy Zahid Husain, Chak, Allahabad on 9th of Muharram, 24th of November 2012. Kalam Janab Shamim Allahabadi.
Alvida Wazeerjan 
Kallu Ka Imambara at Meerganj, Allahabad | 9th Muharram, 24th November 2012 
Yeh bil-yaqueen Husain hai by Hafiz Jullundhari
 
libaas hai phata hua, ghubaar mein ata hua
 tamaam jism e naazneen, chida hua, kata hua
 yeh kaun zeewaqaar hai, bala ka shahsawaar hai
 ke hai hazaaron qaatilon, ke saamne data hua
 yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
 Nabi(SAW) ka noorey ain hai
 
ke jiski eik zarb se, kamaal’e fann e harb se
 kai shaqi girey huey, tarap rahe hain karb se
 ghazab hai teighay do-sarr, ke eik eik waar par
 uthi sadaa’e "alamaan", zabaan e sharq o gharb se
 yeh bil yaqeeN Hussain (A.S.) hai,
 Nabi(SAW) ka noorey ain hai
 yeh kaun haq parast hai, maey redha se mast hai
 ke jiske saamn’e koi, buland hai na pust hai
 udhar hazaar ghaat hai, magar ajeeb baat hai
 ke eik se hazaarha ka hausla shikast hai
 yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
 Nabi(SAW) ka noorey ain hai
 aba bhi taar taar hai, to jism bhi figar hai
 zameen bhi hai tapi hui, falak bhi shola baar hai
 magar ye mard e teigh zann, ye saff shikan, falak figan
 kamaal e sabr o tandehi se mahwe kaarzaar hai
 yeh bil yaqeen Hussain (A.S.) hai,
 Nabi(SAW) ka noorey ain hai
 dilawari mein fard hai, bara hi sheir e mard hai
 ke jiske dabdab’e se, dushmanon ka rung zard hai
 habib e Mustafa(SAW) hai ye, mujaahid’e Khuda hai ye
 jabhi to iske saamney, ye fauj gard bard hai
 yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
 Nabi(SAW) ka noorey ain hai
 udhar sipaah’e Shaam hai, hazaar inteqaam hai
 udhar haiN dushmanaan’e deeN, idhar faqat Imam hai
 magar ajeeb shaan hai, ghazab ki aan baan hai
 ke jis taraf uthi hai teigh, bas Khuda ka naam hai
 yeh bilyaqeen Hussain (A.S.) hai,
 Nabi(SAW) ka noorey ain hai
RT News
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment